Recipe Of Pizza In Urdu Biography
source(google.com.pk)
Pizza Souce Banane ke liye
Pizza ketchup ½ cup
Sirka(venigar )---- 1 tbsp
Lehsan ka powder------ ½ tsp
Pisi huyi siyah mirch--------- ¼ tsp
Pisi huyi sufaid mirch--- ¼ tsp
Oregano ------- ¼ tsp
Thaim chutki bhar
Kati huyi surkh mirch --------1 tsp
Cooking oil ------- 1 tbsp
Pizza Banana Key Liye
Ready made pizza base-------1 bara
Shimlah mirch (lambayi mein kati huyi)----2
Gajar (carrot lambayi mein kata hua) ----1
Onion (lachon mein kati huyi)—2 darmiyani
Tomato chop-----------2
Green chili chop------- 2
Mashrooms (kate huye)----- ½ cup
Olive (golayi mein kate huye) ------ 2 tbsp
Cheddar cheese (kaddo kash ki huyi)--- ½ cup
Mozerella cheese (kaddo kash ki huyi) ------- ½ cup
Kati huyi surkh mirch – ½ tsp
Namak --------hasbe zaiqa
Pisi huyi siyah mirch-------- ¼ tsp
Lehsan (garlic powder) --------- ½ tsp
Butter --- 2 tbsp
Procedure:
Pizza sauce banana key liye frying pan mein oil garam kar key tomato ketchup daal kar garam karein phir pizza sauce piyale mein nikal lein.
Pan mein butter garam kar key tamam sabziyan daal kar taiz aanch par aik minute pakayein, namak, surkh mirch, siyah mirch, lehsan daal kar milayein, chulhe ki aanch taiz rakhein takeh sabziyan pani nah chorein. Sabziyon ko alaihda payale mein nikal lein.
Ready made pizza base ko parathe key tawe par ulat palat kar roti ki tarah seink lein, base thora phool jaye to plastic ki bari plate mein rakh dein.
Pizza base key oper pizza sauce phailayein, phir sabziyon ki filling daal kar spoon se brabar kar lein, bil tarteeb cheddar cheese mozrila chees phaila kar pizza ko 4 minute key liye micro wave oven mein garam kar lein. sab se pehlye doo banane ke liye
flour=1/2 kilo
yeast(khmir)=1 t sp
namak=1/2 t sp
sugar=1/2 t sp
egg=1 adat
oil=2 t sp
milk=hasb-e-zarorat
flour main yeast,namak,sugar dal dein phir is main anda bhi dal dein ,or is ko milk se gund lein achi tarhan gundne ke bad is main oil dal dein or is ko 2 se 3 khante ke liye rakh dein take is doo ka double doo ho jaye.
chicken bone less=1 cup
kali mirch=1 t sp
namak=thora sa
shimlah mirch=1 cup kati hoi
onion=1 cup kate hoye
tomato catchup
pizza cheeze,
sab se pehly ap ek friepan main 2 t sp oil dal dein phir is main chicken ko frie karen or sath main hi simla mirch,onion,kali mirch or namak dal dein thora sa frei ho jaye to utar lein,jo doo tyar hoa hay us ko oven ki plate main roti ki tarhan pehla lein or phir is ke upar tomato catchup lagaein or tyar kiya koa ameza bhi daal dein or pahir sara pehla dein or us ke upar cheez ko kat kar dal dein or oven main 180 degree par rakh dein 25 se 30 min ke liya sath sath check karte rehein aap ka pizza tyar.1.buniyadi pizza ka tayar shudda atta
2.white till ¼ cup
3.garlic 2 photian(cheil kar moota koot lein)
4.mooti kuti hoi lal mirch 2 tbs
5.soyya souce ½ cup
6.honey(shahd) 4 tbs
7.sirka(vinegar) 1 ½ cup
8.oil ¾ cup
9.cheicken kay seny 5 adadd(hadi alag kar ky choty choty tukray kar lein)
10.hari piyaz kati hoi ¼ cup
TARKEEB
Pizza ko hasbe mamool bail kar pizza tary mein rakh lein.teloon ko khusk pain mein dal kar bhoon lein.mirchein,sirka,garlic,soya souce or honey ko eik bowl mein dal kar rakh dein.1/4 cup oil garam kar kay cheicken kay piece tal kar nikal lein.issy karhai mein jiss mein cheicken fried kia tha soya souce wala ameeza dal kar pakein darmiani anch per taqreeban 15 mint k liye.jub yeh garha hoo jay tu cheicken iss mein shamil karein or khoob hilaein k cheicken per chamak a jay.
Pizza per till laga kar kash shuda cheez chirkein.or phir pakka howa cheicken iss per dall dein (pizza k ½ kinary khali choor dein)cheicken per katy howy piyaz or till phela dein.or thoora tail charak dein.pheley say bake shuda owan mein rakh kar yeh pizza bake kar lein.or mazzy say khaein.
No comments:
Post a Comment